Monday, March 23, 2009

Barson ke baad dekha ek shakhs dil ruba sa

Barson ke baad dekha ek shakhs dil ruba sa
Ab zehan mein nahin he per naam tha bhala sa

Abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si, lehja thaka thaka sa

Alfaaz the keh jugnu aawaaz ke safar mein
Bun jaye jangalon mein jis tarha rasta sa

Khuwaabon mein khuwaab us ke, yaadon mein yaad us ki
Neendon mein ghul gaya ho jese keh rat-jaga sa

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Woh her tarah se lekin auron se tha juda sa

Pichli muhabbaton ne woh na-muraadiyaan dein
Taza rifaaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch yeh keh muddaton se hum bhi naheen the roye
Kuch zehar mein bujha tha ehbaab ka dilasa

Phir yun hua keh saawan aankhon mein aa basay the
Phir yun hua ke jese dil bhi tha aabla sa

Ab such kahen to yaaro hum ko khabar naheen thee
Bun jayega qayamat ek waaqea zara sa

Tewar the berukhi ke andaaz dosti ke
Woh ajnabi thaa lekin lagta tha aashna sa

Hum dasht the keh darya hum zehar the keh amrit
Naahaq tha zoam hum ko jub woh naheen tha pyaasa

Hum ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaqan
Apna bhi haal he ab logo Faraz ka sa.

1 comment:

  1. its a good collection of poetry..May Allah increase your ideas for emotions and love.i like this post.good luck.

    ReplyDelete