Dhadkane jab ahat karne lage,sansein jab shor karne lage
Nazrrein jab nazron mein rukne lage
Saare alam ki hulchul thamne lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan
Dil mein jab bekraari badhne lage
Bin kahe sab samajh mein aane lage
Saari dunya ki hosh jab khone lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan
Koi apna jab door hone lage
Kehne ko koi alfaaz na rahe
Kuch hone ki umeed bhi mitne lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan
Kisis swaal mein har jawab nagawaar hone lage
band ankhon se tasveer dikhne lage
Nazrein jab ahista se seeli hone lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan
Koi kisi ke liye hai jeeta
Aur kisi ko khabbar hi nahi
Ban ke hawa koi saansein hai deta
Aur kisi ko kadar hi nahi
Koi karke sajde kisi ke liye dua hai maangta
Aur kisi ko asar nahi
Chahkar bhi bata nahin sakta
Aur zara sa bhi besabar nahi
Bas samajhne ko reh jaye
Ho kehne ko kuch nahi
AISI BHI HOTI HAIN KHAMOSHIYAN
KHAMOSHIYAN
Monday, March 2, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment