Sunday, March 1, 2009

Kamaal-e-Zabt Ko Khud Per Bhi Azmaun Gi,
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaun Gi.

Supurd Kar K Use Chaandni K haathoon,
Main Apne Ghar K Andheron Ko Laut Aun Gi.

Badan K Karb Ko Vo Bhi Samajh Na Pai Ga,
Main Dil Men Roun Gi Aankhon Mein Muskaraun Gi.

Wo Kya Gaya K Rafaaqat K Saray Lutf Gaye,
Main Kis Se Roothoon Gi Kise Manaun Gi.

Wo Ik Rishta-e-Be-naam Bhi Nahi Lakin,
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pe Sar Jhukaun Gi.

bichha diya tha gulabon k saath apna vujood
wo so k uthe to Khawabon ki raakh uthaun gi

ab us ka fun to kisi aur se mansoob ho gaya
main kis ki nazm akele mein gun_gunaun gi

jawaaz Dhoondh raha tha nai mohabbat ka
wo keh raha tha k main us ko bhool jaun gi

No comments:

Post a Comment