Tuesday, March 10, 2009

Be Bas Larki

Eik kamni aur nazuk si larki
taqdeer sey lard rahi hai
apney bikhray khwabo k raizay chuntay
dil mein ro rahi hai
uss ki khata yeh hai k
woh apnay dil mein kisi ko
dhadkan ki tarah basa chuki hai
jo bina sochey samjhey hi
apni kismat aazma chuki hai
ik khush kin ehsaas k tabay
aankhon mein kuch sapney saja chuki hai
woh dheerey dheerey
sulag rahi hai
woh roz jeeti hai, roz marti hai

lekin!

uss k apney uss ki kafiyat sey
be-khabar hain
woh uss ki chup ko, uss ki udaas masoom aankho ko
bas uss mein ik "change" samjhtay hain
aye Kaash!
woh larki itni to be-bas na hoti
usey itna to haq milta k
woh apni zindagi apni marzi sey guzar sakti
lekin hairat hai k aaj k dour mein bhi
yeh sab sirf socha hi jaa sakta hai!!!
Jisey woh chahti hai mil jaye to moujza
naa miley to taqdeer hai

Woh pagal abhi bhi akeli khari
yehi soch rahi hai k!
iss baar jeet kis ki ho ghi
moujzay ki ya kismat ki???


No comments:

Post a Comment