Monday, March 23, 2009

Barson ke baad dekha ek shakhs dil ruba sa

Barson ke baad dekha ek shakhs dil ruba sa
Ab zehan mein nahin he per naam tha bhala sa

Abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si, lehja thaka thaka sa

Alfaaz the keh jugnu aawaaz ke safar mein
Bun jaye jangalon mein jis tarha rasta sa

Khuwaabon mein khuwaab us ke, yaadon mein yaad us ki
Neendon mein ghul gaya ho jese keh rat-jaga sa

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Woh her tarah se lekin auron se tha juda sa

Pichli muhabbaton ne woh na-muraadiyaan dein
Taza rifaaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch yeh keh muddaton se hum bhi naheen the roye
Kuch zehar mein bujha tha ehbaab ka dilasa

Phir yun hua keh saawan aankhon mein aa basay the
Phir yun hua ke jese dil bhi tha aabla sa

Ab such kahen to yaaro hum ko khabar naheen thee
Bun jayega qayamat ek waaqea zara sa

Tewar the berukhi ke andaaz dosti ke
Woh ajnabi thaa lekin lagta tha aashna sa

Hum dasht the keh darya hum zehar the keh amrit
Naahaq tha zoam hum ko jub woh naheen tha pyaasa

Hum ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaqan
Apna bhi haal he ab logo Faraz ka sa.

AFSOS MAT KARO....

WO APNAY GHAR CHLA GAYA AFSOS MAT KARO,
ITNA HI US KA SATH TA AFSOS MAT KARO,

INSAN APNEY AAP MAY MJBOR HAI BUHAT,
KOI NHI HAI BEWAFA AFSOS MAT KARO,

DUNYA MAY OR CHAHNEY WLEY B HAIN BUHAT,
JO HONA THA SO HO GAYA AFSOS MAT KARO,

WO TUM SAY AAJ DOR HAI KAL PAS AAYE GA,
PHIR SE KHUDA MILAYE GA AFSOS MAT KARO,

BEKAR G PAY BOJH LIYE PHIRTAY HO TUM,
DIL HAI TUMHARA PHOOL SA AFSOS MAT KARO....

MUHABBAT KERNA CHOR DONGA.......!!!

Tumhain Khud Per Kaboo Ho Sakta Hai Laykin
Kia Tum Hawa Ko Thaaam Sakti hoo?
Kia Tum Mousamoon Say BAch Sakti Ho?
Kia Tum Phoolon Say,RangoonSay
Nazar Chura SAkti Ho
Kia TumRutoon Ko Badal Sakti Ho?
Kia Tum Aag Ki Tapish Say Bach Sakti Ho?>
Kia Tum Chandni Kay Husan Say Bach Sakti Ho?
Or Ager Tum Yea Sab Ker Sakti Ho
Main Tum Say
Ayhad Kerta Hoon K
Tum Say Haan Tum Say
MUHABBAT KERNA CHOR DONGA.......!!!

Monday, March 16, 2009

Mohabbat Tol Di Us Ne..

Mairey Israar Per Aakhir
Bohat Majbor Ho Ker Aaj
Mujhey Apni Nigaahon Ki
Udaasi Sonp Di Uss Ne
Bohat Be-bas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki
Haqeeqat Khol Di Uss Ne
Khalish Jo Uss Ke Dil Mein Thi
Woh Abb Mairi Amanat Hai
Shikasta Lehjey Ki Jitni Thakan Thi
Bol Di Uss Ne
Mairi Kahtir Mujhey Apni Mohabbat
Keh Nahin Paya
Magar Aaj Apney Aansoo Say Mohabbat
Tol Di Uss Ne…..!

Saturday, March 14, 2009

Zanjeer

paa-ba-gil sab hai.n rihaa_ii kii kare tadabiir kaun
dast-bastaa shahar me.n khole merii zanjiir kaun

meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun

aaj darvaazo.n pe dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun

niind jab Khvaabo.n se pyaarii ho to aise ahad me.n
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabo.n ko de taabiir kaun

ret abhii pichhale makaano.n kii na vaapas aa_ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun

saare rishte hijrato.n me.n saath dete hai.n to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun

merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa_ii ne
beridaa_ii ko merii phir de gayaa tashahiir kaun

dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n
dekhanaa hai khe.nchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

Thursday, March 12, 2009

Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Jo Na Mil saka Wohi Bewafa ,
Ye Bari Ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhay Chorh kar ,
Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Jo Kisi Nazar Say Ata hui,
Wohi Roshni hai Khayal main
Woh Na asakay, Rahoon Muntazir,
Ye Khalish Kahan Thee Visaal main

Meri Justujoo Ko Khabar Nahin,
Na Woh Din Rahay Na Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai

Karay Pyar Lub Per Gila Na Hoo,
Ye Kisi Kisi Ka Naseeb hai
Ye Karam Hai Iski Jifa Nahin ,
Woh Juda Bhi Reh Kar Kareeb Hai

Wohi Ankh hai Meray Rubaroo,
Ussi Haath main Mera Haath hai
Jo Chala gaya Mujhey Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak meray saath hai

Mera naam tak jo na lesaka,
jo mujhe qaraar na de saka
Jisaay Ikhtiayaar Tu tha Magar,
Mujhay apna Pyar na Dey saka

Wohi Shaks Meri Talaash hai ,
wohi dard meri hayaat hai
Jo Chala gaya Mujhey Chorh Kar,
Wohi Aaj Tak meray saath hai

Jo Na Mil saka Wohi Bewafa ,
Ye Bari Ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhay Chorh kar ,
Wohi Aaj tak Meray Saath hai

Tuesday, March 10, 2009

Be Bas Larki

Eik kamni aur nazuk si larki
taqdeer sey lard rahi hai
apney bikhray khwabo k raizay chuntay
dil mein ro rahi hai
uss ki khata yeh hai k
woh apnay dil mein kisi ko
dhadkan ki tarah basa chuki hai
jo bina sochey samjhey hi
apni kismat aazma chuki hai
ik khush kin ehsaas k tabay
aankhon mein kuch sapney saja chuki hai
woh dheerey dheerey
sulag rahi hai
woh roz jeeti hai, roz marti hai

lekin!

uss k apney uss ki kafiyat sey
be-khabar hain
woh uss ki chup ko, uss ki udaas masoom aankho ko
bas uss mein ik "change" samjhtay hain
aye Kaash!
woh larki itni to be-bas na hoti
usey itna to haq milta k
woh apni zindagi apni marzi sey guzar sakti
lekin hairat hai k aaj k dour mein bhi
yeh sab sirf socha hi jaa sakta hai!!!
Jisey woh chahti hai mil jaye to moujza
naa miley to taqdeer hai

Woh pagal abhi bhi akeli khari
yehi soch rahi hai k!
iss baar jeet kis ki ho ghi
moujzay ki ya kismat ki???


Suno!!!

SUNO!
tum loat ao na!
wo dekho chand nikla hai..,
sitary jagmgai hain..,
hamari muntazer ankhain..,
duaaen mangti ankhain..,
Tmhain hi sochti aankahin..,
tmhain he dhondti aankahin..,
tmhain wapis bulati hain!
yeh dil jb b dharkta hai..,
tmhara naam layta hai..,
yah ansoo jb b behty hain,
tmharay dhuk may he behtay hain..,
yeh barish jb bhe hoti hai,
tumhain hi yaad karte hain..,
Khushi koi jo aye b tmharay bin adhoori hai..,
SUNO!
TuM LOAT AAO NA..........

Ikhtiyar

-:EKHTIAR:-
Hawa ko likhna jo aa ghia hay
Ab aus ki marzi k wo khizan ko bahar likh day
bahar ko intizar likh day

Safar ki khawahish ko wahimoon k azab sy hamkinar likh day
Wafa k rastoon pay chalnay waloon ki kismatoon mai gubbar likh day
Hawa ko likhna jo aa ghia hay.
Hawa ki marzi k wasal moosam mai hijr ko hisa dar likh day
Mohabtoon mai guzarnay wali rutoon ko na paidar likh day
Shajar ko kam sayadar likh day

Hawa ko likhna jo aa ghia hay
Ab aus ki marzi k wo hamaray deaey bujha kar
Shaboon ko ba akhtiar kar k sahar ko bay etbar likh day
Hawa ko likhna sikhanay walo!
Hawa ko likhna jo aa ghia hay

Mere Pass Lot Aaana

Ab Yaad Meri Aye To Rukna Mat

Mere Paas Laut Aana

Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye

Or Kuch Saaf Nazer Na Aye

To Derna Mat


Mere Paas Laut Aana

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye

Or Tumhien Raasta Na Mil Paye

To Udaas Mat Hona

Mere Paas Laut Aana

Jab Saas Ki Doori Toote

Or Koi apna Tumhien Lotey

To Mayyoos Mat Hona

Mere Paas Laut Aana


Jab Dil Tumhara Toote

Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote

To Aanso Mat Bahana

Meri Paas Laut Aana

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum

Mere Jazbat,Pyar,Aitbar

Ko Tor Ke Gayi Ho Tum

Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye

Or Aankhien Tumhari Bher Ayein

To Shermindah Mat Hona

Mere Paas Laut Aana

Bas Itna Kehna Chahta Hon

Ke Hamesha Intizar Keronga

Is Kaeenat Se Ziada Pyar Keronga

Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye

To Rukna Mat

Mere Paas Laut Aana....

Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon pe marta tha,
Meri Baaton pe Hansta tha,

Najanay kesa Larka tha,
Mujhe Khonay se darta tha,

Mujhe jb bhi Wo milta tha,
Yehi har baar kehta tha,

Suno.............

Agr mai bhool jaun to,
Tumhe Apna na paun to,
Kabhi wapis na aauon to,
Bhula paogi ye sab kuch???
Hata paogi meri Aadat???
Yunhi Hansti rahogi kia???
Yunhi Sajti raho gi kia???
Yehi Baatain hain sab Uski,
Mujhe bas hai pta itna,
Mujhe Wo Piyar karta tah,
Mujhe Khonay se darta tha......

Friday, March 6, 2009

Aaj ye sub kuch naam tumary!!!

sahil,
rait,
samundar,
lehrain,
basti,
dost,
sehra,
darya,
khushboo,
mousam,
phool,
dareechy,
badal,
suraj,
chand,
sitary,
aaj ye sub kuch naam tumary
khawab ki batein,
yad k qissay,
soch k pehlo,
neend k lamhy,
dard k anso,
chain k naghmy,
urrty waqt k behty dhary,
rooh ki aahat,
jis ki junbash,
khoon ki gardish,
saans ki larzish,
aankh ka pani,
chahat k ye unwan saray,
aaj ye sub kuch naam tumary!!!

Monday, March 2, 2009

Wo mera poochna tujh say
Tumhein kiya pyar hai mujh say
Wo tera muskura dena
Nigahon ko jhuka dena
Meray kaandhay pay sar rakh kar
Nafi mein sar hila dena !!!

BOHT GEHRI UDASI HAI

BOHT GEHRI UDASI HAI

buhat gahri udasi hay
tairi dahleez wada per
khazan ki shaam ki soorat
khara hoon ma
mairay dil main
gai shab say
musalsal barfbari hay
tairi rukhsat ka manzir hay
tairi rukhsat k manzir ma
safar ki taira shab hay aur
mairi tanhaiyoon ko hoosla daita hua
ik hath rooshan hay
samajh ma kuch nai ata
mairay pairoon talay
bichta gulabi rasta
yuklakht
sahra kaisay banta hay
mairay shahr e muhabat ma
achanak hijr ki andhi
sada kiyun dainay lagti hay
mairi ankhoon k taroon k
mukadar ma
hamaisha tootna kiyun hay
yeh kaisa ishq hay jana
yeh kya zakham e judai hay
yeh kin khuaboon ki basti hay
jahan per humko khul k saaans lainay ki manahi hay
mairay dil say tairay dil tuk
BUHAT GAHRI UDASI HAY

Tumhain Yaad Aye Gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,

jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Khamoshiyan

Dhadkane jab ahat karne lage,sansein jab shor karne lage
Nazrrein jab nazron mein rukne lage
Saare alam ki hulchul thamne lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan

Dil mein jab bekraari badhne lage
Bin kahe sab samajh mein aane lage
Saari dunya ki hosh jab khone lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan

Koi apna jab door hone lage
Kehne ko koi alfaaz na rahe
Kuch hone ki umeed bhi mitne lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan

Kisis swaal mein har jawab nagawaar hone lage
band ankhon se tasveer dikhne lage
Nazrein jab ahista se seeli hone lage
Aisi bhi hoti hain Khamoshiyan

Koi kisi ke liye hai jeeta
Aur kisi ko khabbar hi nahi
Ban ke hawa koi saansein hai deta
Aur kisi ko kadar hi nahi
Koi karke sajde kisi ke liye dua hai maangta
Aur kisi ko asar nahi
Chahkar bhi bata nahin sakta
Aur zara sa bhi besabar nahi
Bas samajhne ko reh jaye
Ho kehne ko kuch nahi
AISI BHI HOTI HAIN KHAMOSHIYAN
KHAMOSHIYAN

Yadain!

Tujhe Pyaar mera satayega

Yaadon ke toofan utthaye ga

Mera naam likh ker kitabon main

Tu logon ke darr se mitayega

Zikar mera aksar karne se pehle

Tu kuch soch ker muskuraye ga

Baatein meri yaad aayengi

Jitna tu unhain bhulaye ga

Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chahe

Tu nazron ko phir bhi jhukaye ga

Jis ne mujhe itna sataya hai

Us ka chain bhi koi churaye ga !!

Dard

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo

Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi

Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen

In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Sunday, March 1, 2009

Kamaal-e-Zabt Ko Khud Per Bhi Azmaun Gi,
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaun Gi.

Supurd Kar K Use Chaandni K haathoon,
Main Apne Ghar K Andheron Ko Laut Aun Gi.

Badan K Karb Ko Vo Bhi Samajh Na Pai Ga,
Main Dil Men Roun Gi Aankhon Mein Muskaraun Gi.

Wo Kya Gaya K Rafaaqat K Saray Lutf Gaye,
Main Kis Se Roothoon Gi Kise Manaun Gi.

Wo Ik Rishta-e-Be-naam Bhi Nahi Lakin,
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pe Sar Jhukaun Gi.

bichha diya tha gulabon k saath apna vujood
wo so k uthe to Khawabon ki raakh uthaun gi

ab us ka fun to kisi aur se mansoob ho gaya
main kis ki nazm akele mein gun_gunaun gi

jawaaz Dhoondh raha tha nai mohabbat ka
wo keh raha tha k main us ko bhool jaun gi

Kya Maange

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Izhar-e-Mohabbat

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,


bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,


younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi,
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,


Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
Warna kajol teri ankhon ka na phela hota


Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Friday, February 27, 2009

Main Kanch Ki Guriya Hon

Main kanch KI Guriya Hon
Sheeshy Ka Hai Dil Mera
Is Nazuk Abgeeny May
Bas Tera hi Bsaira hai
Meri Socho'n Per Bhi har pal
Bas Tera Hi Pehra Hai

Main Kanch Ki Guriya Hon
Mom Sy hain Mery sappny
Mery Hi Ashkon Sy
Kabhi Jalty hoye Kabhi Bhujty Hoye Mery Roz-0-Shab Saary Hi
Tery hijjar Ki Aag main Jhulsy Hoye

Main Kanch ki Guriya hon
Tooteti Hoi Aur Bikharti Hoi
Apni Kirchiyan Phir main
Apny hatho'n Sy chunti Hoi
Khud hi ulajhti hoi Khud hi sambhlti hoi
Tery Peyar ki Aatish may jalti hoye ,bhujti Hoye

Main Kanch Ki Guriya Hon
Teri Muhabbat Sy zinda hon
Teri Nafrat Sy mar jati hon MainTery Lafzon ,Tery Lehjy,Teri Baton
Teri Dheemi Dheemi sarghoshion Sy
Tery Sehar main Uter Jati Hon Main Phir Aur Nikhar jati Hon Main

Main Kanch Ki Guriya Hon
Sheeshy Ka Hai dil Mera
Is Nazuk Abgeeny Main
Bas Tera hi Bsaira Hai
Main Kanch ki guriya hon
Main Kanch ki guriya Hon

Barsaat

Ik Raat Hui Barsat Bohat

Main Royi Sari Raat Bohat

Her Ghum tha Zamany ka lekin

May Tanha thi Us Raat Bohat

Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa

Jab Seher Hui to Khiyal Aya

Wo Badal Kitna Tanha Tha

Jo Barsa Sari Raat Bohat

Phir???

Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir…?
Bichhar kar sochta hoon main,
Wo phir se mil gaya to phir…?
Main titliyon k shehar mein,
Rahoon to mujh ko fiker hai…
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to phir…?

Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila…
Tamam umer k liye,
Ye dard mil gaya to phir…?

Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar sake…
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to phir…?

Phir Azaab Koi

piyaass ki kaise laaye taab koi
nahin Daryaa to ho Saraab koi

Raat bajti thi door shahnaaie
Royaa pee kar bhout Sharaab Koi

Konsa zakham kiss ne bakhsha hai
Rakhay kaise iss ka hisaab koi

Main phir sun'ne laga hoon iss dill ki
Aane waala hai phir azaab koi

Acha Nahi Lagta

Kisi se Baat karna , Bolna acha nahi lagta
Tujhe Dekha hai jab se , Doosra acha nahi lagta

Teri ankhon main jab se maine apna aks Dekha Hai
mere chahre ko koi aina acha nahi lagta…

Tere Baare main Din Bhar sochti Rehti Hoon main lekin
Tere Baare main sab se Poochna acha nahi lagta

Yahan Mohabbat karne wale Barbaad Rehte hain…
yeh Darya Hai issey kacha Gharra acha nahi lagta

MAIN ab chahat ki us Manzil per aan Punhchi Hoon,
Teri Jaanib kisi ka Dekhna acha nahi lagta…

Thursday, February 26, 2009

Main Tum Ko Bhool Jaon Ga …!!!

Mujhey Iss Zindgani Say Koi Shikwa Nahin Lekin,
Zara Si Be-sukooni Hai,
Na Jaaney Kyun Mairey Dil Mein,
Ajab Ikk Khof Rehta Hai,
Mujhey Mehsoos Hota Hai,
Ke Mairey Dil Ke Darwazey Pay,
Teri Yaad Ki Dastak Mein Woh Shidat Nahin Baaqi,
Bohat Si Khaas Baatein Hain,
Jo Mujh Ko Aam Lagti Hain,
Mairey Dil Mein Unhein Sun Kar Koi Toofan Nahin Utthta,
Teri Aankhein, Tera Chehra,
Teri Aawaaz Ki Rimjhim,
Sabhi Kuch Khuwab Lagta Hai,
Mujhay Mehsoos Hota Hai,
Sunehri Titliyon Jaisey,
Woh Sab Khush Rung Say Sapney,
Mairey Lafzon Ke Phoolon Par,
Bohat Din Say Nahin Baitthey,
Mujhey Mehsoos Hota Hai,
Samay Ki Taiz Lehron Ne,
Himarey Rait Ke Kachey Gharondey Torr Daley Hain,
Mujhey Unn Taiz Lehron Say,
Sunehrii Titliyon Jaisey,
Sabhi Khush Rang Sapnon Say,
Koi Shikwa Nahin Lekin,
Zara Si Be-sukooni Hai,
Mujhey Mehsoos Hota Hai,
Tumharey Dil Ke Darwazey Pay Mairi Yaad Ki Dastak,
Mairi Jaan Abb Nahin Hoti,
Mairi Jaan Abb Nahin Hota,
Ke Mairi Yaad Aaye To,
Tumhari Aankh Bhar Aaye,
Duayein Maangtey Lamhey,
Mujhey Tum Bhool Jaati Ho,
Magar Phir Bhi Mujhey Tum Say,
Koi Shikwa Nahin Lekin,
Ajab Si Be-sukooni Hai,
Ajab Ikk Khof Hai Dil Mein,
Main Tum Ko Bhool Jaon Ga …!!!

Sunday, February 22, 2009

Agar kbhi meri yad aye

Agar kbhi meri yad aye
Agar kbhi meri yad aye
To chand raton ki narm dilgir roshni men
kisi sitarey ko dekh lena
agar wo nakhl falak se ur kar tmharey qadmon men aa girey
to jan lena
wo istiara hai meray dil ka
agar na aye....
magar ye mumkin hi kistarha hai
k tm kisi pay nigah dalo
to us ki dewar-e-jan na tutay
wo apni hasti na bhul jaye
agar kbhi meri yad aya
gurez krti hawa kilehron pay hath rakhna
men khushbuon men tmhen milungi
mjhe gulabon ki patiyon men talash krna
men os qatron k aienon men tmhen milungi
agr sitaron men os qatron men khushbuon men
na pao mjh ko
to apne qadmon men dekh lena
men gard hoti musafaton men tmhe milungi
khin pay roshan charagh dekho
to jan lena k
hr patage k sath men bhi bikhar chuki hun
tm apne hathon se in patangon ki rakh darya men dal dena
men khak ban kr samndron men safar kron gi
kisi na dekhe huey jazirey pa ruk kr
tmko sadaien dungi
samndron k safar pa niklo
to is jaziray par bhi utarna!!!!!

Main ab sonay se darta hoon

Kaha tha na
Kaha tha na
Mujhe tum is tarha sotey huye mat chor kar jana
Mujhe beshak jaga dena
Bata dena
Mohabbat ke safar mein saath mere chal nahin sakti
Judayee ke safar mein mere saath chal nahin sakti
Tumhein rasta badalna hai
Meri had say nikalna hai
Tumhein kis baat ka darr tha ?
Tumhein janay nahin deta ?
Kahein per qaid kar leta ?

Aray Pagli

Mohabbat ki tabyat mein zabardasti nahin hoti
Jisay rasta badalna ho usay rasta badalney se
Jisay had se nikalna ho usay had se nikalney se
Na koi rok paya hai
Na koi rok paye ga

Tumhein kis baat ka darr tha
Mujhe beshak jaga detein
Main tum ko dekh hi leta
Tumhein koi duaa deta
Kam-az-kam yuun to na hota
Mere saath haqeeqat hai

Tumaray baad khonay ke liye aab kuch nahi baaqi
Magar khonay se darta hoon
Main ab sonay se darta hoon

Abhi Tu Raat Baqi Hai, Ye Dhal Jay Tu So Jana

Abhi Tu Raat Baqi Hai, Ye Dhal Jay Tu So Jana,
Ghari Bhar Ko Dil-e-Nadan Sambhal Jay Tu So Jana.
Ye Neend Me Dobi Hoi Ankhain Mujhe Sunay Nahi Dayti,
Tumhari Adh Khuli Ankhain
Zara Tehro Mujhe Bhi Neend Ajay Tu So Jana.
Haseen Ho Tum,
Tumhain Kia Ghum,
Tumhain Tu Neend Pyari Hai,
Humara Haal Mat Pocho K Hum Per Raat Bhari hai,
Qayamat Hai Ye Tal Jay Tu So Jana.
Abhi Tu Raat Baqi Hai, Ye Dhal Jay Tu So Jana.

Hijr K Mousam Me Ye Barish Ka Barasna Kesa!

Hijr K Mousam Me Ye Barish Ka Barasna Kesa!
Aik Sehra Se Samandar Ka Guzarna Kesa.

Ay Meray Dil Na Preshan Ho Tanha Ho Ker,
Wo Teray Sath Chala Kab Tha, Bicharna Kesa.

Log Kehtay Hain Gulshan ki Tabahi Dekho,
Main To Veeran Sa Jangal Tha Ujarna Kesa.

Dekhnay Main To Koi Dard Nahi, Dhuk Bhi Nahi,
Phir Ye Ankhon Main Ashkon Ka Ubharna Kesa.

Bewafa Kehnay Ki Jur'at Bhi Na Kerna Us Ko,
Us Ne Iqrar Kia Kab Tha Mukarna Kesa.



Saturday, February 21, 2009

Taseer Juda Si Humain Wirsay Main Mili Hai,

Hum Dasht K Basi, Humain Wirsay Main Mili Hai,
Ye Rooh Piyasi, Humain Wirsay Main Mili Hai.

Dukh Dard Se Sadiyun Ka Ta'alluq Hai Humera,
Ankhon Ki Udasi, Humain Wirsay Main Mili Hai,

Jaan Dey-na Riwayat Hai Qabilay Ki Humeray,
Ye Surkh Labaasi, Humain Wirsay Main Mili Hai,

Jo Baat Bhi Kehtay Hain Utar Jati Hai Dil Main,
Taseer Juda Si Humain Wirsay Main Mili Hai,

Jo Hath bhi Thaama Hai SADA Sath Raha Hai,
Ahbaab Shanashi Humain Wirsay Main Mili Hai,

MOHABBAT Ki Kashti Kinar Hojay

Agar Usay Meri Ghazlon Se Pyar Hojay,
Meray bhi Dil Main Khushi Ki Bahar HoJay.

Humeray Dil Ki Bhi Qeemat Nahi Mili,
Bura Nahi Jo Unsay Udhar Hojay.

Humeri Yaad Jo Aay Kabhi Unhay DIL,
Haya Se Un Ki Nazar Ka Singar Hojay.

Humain Tu Un Ka Tassawur Hai Raat Din Likin,
DUA Hai Un Pe Bhi Ye Ghum Sawar Hojay.

Agar Woh Meri Sadaqat Ko Maan Lay Dost,
MOHABBAT Ki Kashti Kinar Hojay.

Khud Ko Ganwana Chahta Houn

Ajab Larka Houn Main Khud Ko Ganwana Chahta Houn,
K Apnay Ap Se Peecha Churana Chahta Houn...

Na Janay Kia Ta'alluq Hai Mera Ranj-o-Alam Se,
Koi Bhi Dard Ho Dil Main Basana Chahta houn...

Kai Bhoolay Hoye Chahray Yaad Aarahay Hain,
Zara Se Dair Ko Ansu Bahana Chahta Houn...

Najanay Kyun Mujhe Pathar Samajhti Hai Duniya,
Main Kia Houn Koun Houn Un Ko Batana Chahta Houn...

Sitam Jo Bhi Zamanay Ne Kiye Hain Mujh Per,
Humesha K Liye Bhool Jana Chahta Houn...

Friday, February 20, 2009

Hai Ikhtiyaar Main Tare To Yeh Mo'ojza Ker De,
Wo Shakhs Mayra Nahin Ussay Mayra Ker De.

Yeh Raiguzaar Kaheen Khatam Nahin Hota,
Zara Si Door To Rasta Hara Bhara Ker De.

Main Us Ke Zoor Ko Daikhoon Woh Mayra Sabr-o-Sakoon,
Mujhe Chiraagh Bana De Usay Hawaa Ker De.

Akaili Shaam Bohat He Udaas Kerti Hai,
Kissi Ko Bhaij Koi Mayra Hamnwaa Ker De.

Rihai Na Dia Ker.....

Mohabbaton Ka Pata Chalay Ga....